Kaash main wo baarish ki Boond hota…
Kaash main wo baarish ki Boond hota…
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To aap tak aake…apke sath chal pata,
Chahe ap kisi ke bhi sath hote…hamesha apka sath nibha pata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To apke labon ko chukar…bina bataye…apko chum ke chala jata,
Sindur na hoke bhi…apke mathe pe chamak pata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To apke aansuon me milkar…unhe pi leta,
apke rom-rom ko mehsus kar…apki rooh tak pahunch pata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To apki khushbuon ko sari umar ke liye apne sath le jata,
Apke mathe ki shikan ko mita kar…apka sukun ban jata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To us khubsurat chehre pe koshish karke…ek muskurahat la pata,
Apke itne kareeb aa jata…ki hume Khuda bhi chah ke juda na kar pata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To khud mit kar bhi…apke zariye jee pata,
Apke dard ko apne ander kahi sama leta.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To chah ke bhi kabhi apne aansun na dikha pata,
Aur kabhi khud mitna chahta to…apke hi ander kahi sama jata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To apki chai…apke pakode ka kaaran ban pata,
Sondhi si khushboo ban kar apki thakaan ko mita deta.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To dur reh kar bhi…apko hamesha dekh pata,
Apki palkon pe aakar, apki ankhon me khud ka aks dekh pata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To apki jhulfon me ulajh kar…apki mehek ban pata,
Aur jab thak jata to apko bina bataye hi mar jata
aur ap chah ke bhi mujhe kabhi dhoondh na pate.
Kaash main wo baarish ki Boond hota,
To sirf apko chune ki umeed me sari umar bita deta,
kam se kam apke nazdeek to aa sakta…apke hathon ko to chhu sakta…aur khamoshi se…apka sparsh leke zameen me kahi kho jata.
Kaash main wo baarish ki Boond hota…
To apke pas khud aakar…in shabdon ko suna pata…
Kaash main wo baarish ki Boond hota…
Kaash main wo baarish ki Boond hota…
Manas “Sameer” Mukul
Bahut hi umdaa…..
nice
simply wow!!!
seem like an unachieved love. . . .depicted by a drop of water. . . a drop which itself is thirsty. . .
wonderful and so emotional 🙂
too good….awesome….!!!!
bhaiyaa!!!! jab meri zindgi mujhse roothegi to apka likha hua ye baarish ka boond mai use sunaowngaaa wo fir mujhse3 kabhi nahi roothegi!!!!!!!!!!
really!!! aap bahut accha likhtey hai,,,,,,,,
perfect,,,,,,,,
best ,superlike.
काश मैं वो बादल बन पाता
जिसमे ये बारिश की बूँद छुपी होती …
इतनी मोहब्बत भरी बूँद में तो जनाब
कोई भी बह जाने की तमन्ना रखता होगा
Now that’s one of the awesome(est) poem of yours which popped from nowhere today.
I can feel it in the raindrop, teardrop and even the eavesdrop.
Lucky is the one who was in your thoughts when framing this piece.
Keep spreading the humor and happiness with the magic of your words.
Tamanna rakhne and sach me beh Jane me na jane kitne jeevan beet gaye. Haha… Thank you for reading this and showering your praise. It is special for me. My first out and out hindi poem. Can’t say whether anyone was the inspiration as I wrote this sitting in a MBA class 😂😊